Logo ग्राम दर्पण
Login / लॉगिन

मुंडाखेड़ा · बदली · झज्जर · हरियाणा

← All Tools 📲 Free Generator

UPI QR Code Generator यूपीआई क्यूआर कोड जनरेटर

Apni UPI ID se ek scannable payment QR code banaiye — koi app download, signup ya charge nahi. Dukaandaar, donation collection ya personal payment ke liye.

UPI ID aur naam daaliye — QR yahan dikhega

Kisi bhi UPI app (GPay, PhonePe, Paytm, BHIM) se scan hoga.

Jaankari

UPI ke baare mein rochak tathya

2016

UPI Launch (NPCI)

1600+ Cr

Monthly Transactions

#1

World's Largest RTP System

7+

Countries Accept UPI

✅ Suraksha tip

Paisa lene ke liye UPI PIN kabhi nahi chahiye — sirf paisa bhejne ke liye PIN daalte hai. Agar koi "paisa milega" bolkar aapse QR scan + PIN daalne ko kahe, to woh 99% fraud hai — turant mana kar dein.

Dukaandaar/Panchayat ke liye istemaal

  • QR print karke apni dukaan ke counter par laminate karke laga sakte hai
  • Gram sabha ya mandir chanda collection ke liye bina-amount wala QR useful hai
  • Fixed rate wali sewa (jaise photocopy ₹2/page) ke liye amount-fixed QR banayein

FAQ

अक्सर पूछे जाने वाले सवाल

Kya yeh QR code safe hai? Kya iske through paisa chori ho sakta hai? +

Haan, yeh 100% safe hai — yeh sirf ek 'payment request' QR hai jisme aapki UPI ID aur naam hota hai. Koi bhi transaction tabhi hoga jab payer khud apna UPI PIN daal kar confirm karega. Sirf QR scan karne se ya generate karne se paisa transfer NAHI hota.

Amount fixed QR aur bina-amount QR mein kya fark hai? +

Agar amount daalte hai to QR scan karne par woh amount automatically bhar jayega — fixed-price cheezo (jaise ek chai ki dukaan) ke liye best hai. Bina amount wala QR 'static QR' kehlata hai — payer khud amount type karta hai, donation ya alag-alag amount ke liye useful.

UPI ID (VPA) kaise pata karein? +

Apni UPI app (GPay, PhonePe, Paytm, BHIM) kholiye — Profile ya "My QR Code" section mein aapki UPI ID dikhegi, jaise 9876543210@ybl ya naam@oksbi. Yeh bank account se linked hoti hai.

Yeh free tool ग्राम दर्पण team ne banaya hai — Mundakhera village (Badli, Jhajjar, Haryana) ka digital panchayat portal.