Logo ग्राम दर्पण
Login / लॉगिन

मुंडाखेड़ा · बादली · झज्जर · हरियाणा

🚗 Free · No App Needed

Vehicle QR Contact Sticker गाड़ी QR संपर्क स्टिकर

Apni gaadi ke sheeshe par lagane ke liye ek "Scan to Contact" QR sticker banayein — koi bhi galat-parking, halki takkar ya emergency mein aapse turant sampark kar sake, bina aapka number dekhe. 6 design themes, print-ready, poori tarah free.

📝

1. Details Bharein

Gaadi number, apna naam aur mobile — bas itna hi chahiye. 1 minute lagta hai.

🖨️

2. Sticker Print Karein

QR code turant ban jayega — download karke print karein ya kisi bhi sticker shop se print karwa lein.

📱

3. Windshield Par Chipkayein

Ab koi bhi scan karke aapse contact kar sakta hai — aapke set kiye hue tareeke se hi.

Gaadi ki Jaankari

Aapki Jaankari (Private)

Yeh kabhi kisi ko seedhe nahi dikhta — sirf aap neeche jo options on karein, wahi scanner ko dikhta hai.

+91
+91

Aapka manage link turant is email par bhej diya jayega — agar future mein link bhool jaayein, to sirf isi email se recover kar sakte hai.

Scanner Ko Kya Dikhega?

⚠️ Yeh free tool hai — koi paid "masked calling" system nahi hai. Call/WhatsApp button on karne par, tap karne wale scanner ko aapka number dikh sakta hai (bilkul waise hi jaise aap khud apna number sticker par likhte). Privacy ke liye sirf "Sandesh Bhejne Do" hi kaafi hai.

Sticker Design

Submit karne ke baad aapko ek private "Manage Link" milega — usse sambhal kar rakhein, isse aap apni details badal sakte hai.

FAQ

अक्सर पूछे जाने वाले सवाल

Kya mera phone number sab ko dikh jayega? +

Nahi, bilkul nahi — aap khud decide karte hai. Default 'Send Message' option se koi bhi aapko bina number dekhe sandesh bhej sakta hai (email/dashboard par pahunchta hai). Call ya WhatsApp button dikhana chahte hai to woh aap khud switch on karte hai — nahi to woh options bilkul nahi dikhte.

Kya isme koi app download karni padegi? +

Nahi — na aapko, na scan karne wale ko. Koi bhi phone ka normal camera QR scan kar sakta hai, aur seedha browser mein page khul jata hai.

Agar sticker chori ho jaye ya kisi galat vyakti ke haath lag jaye to? +

Apne 'Manage Link' se turant 'Regenerate QR' karein — purana QR code kaam karna band kar dega, aur naya sticker turant download kar sakte hai. Ya 'Deactivate' kar ke bhi rok sakte hai.

Kya call/message ke liye koi charge lagta hai? +

Bilkul nahi — poori tarah free hai. Ismein koi paid masked-calling system nahi hai (jo bade platforms paisa lekar dete hai); yahan seedha WhatsApp/Call link (agar aap on karein) ya hamare free message-relay ka use hota hai.

Yeh free tool ग्राम दर्पण team ne banaya hai — Mundakhera village (Badli, Jhajjar, Haryana) ka digital panchayat portal.