Logo ग्राम दर्पण
Login / लॉगिन

मुंडाखेड़ा · बदली · झज्जर · हरियाणा

← All Tools 🗳️ Free Calculator

Voter Age Eligibility Calculator मतदाता आयु पात्रता

Apni date of birth se pata karein — aap kis qualifying date tak voter registration ke liye eligible ho jayenge.

Jaankari

4 Qualifying Dates (2021 se)

Election Laws (Amendment) Act 2021 se pehle sirf 1 January hi qualifying date hoti thi — matlab agar aapka birthday 2 January ko bhi ho, to aapko poora saal wait karna padta tha. Ab saal mein 4 mauke hai: 1 January, 1 April, 1 July, 1 October — jo bhi pehle aaye, us par apply kar sakte hai.

FAQ

अक्सर पूछे जाने वाले सवाल

Voter registration ke liye minimum age kya hai?+

18 saal — Representation of the People Act 1950 ke tehat, kisi bhi 'qualifying date' tak 18 saal poore hone chahiye.

Qualifying date kya hai — kya yeh sirf 1 January hoti hai?+

Pehle sirf 1 January hoti thi, lekin Election Laws (Amendment) Act 2021 ke baad ab saal mein 4 qualifying dates hai — 1 January, 1 April, 1 July, aur 1 October. Ismese kisi bhi date tak 18 saal poore hone par aap us cycle mein register ho sakte hai.

Voter ID ke liye kaha apply karein?+

National Voter Service Portal (voters.eci.gov.in) par online apply kar sakte hai, ya apne Booth Level Officer (BLO)/Gram Panchayat se Form 6 lekar offline bhi apply kar sakte hai.

Yeh free tool ग्राम दर्पण team ne banaya hai — Mundakhera village (Badli, Jhajjar, Haryana) ka digital panchayat portal.